Jaise bhi guzarte ho ye din
ab is se tumko kya matlab,
Dukh mein hoon, ya hansta hoon main
bheegi palko’n ko dhakta hoon main
dushwaari hai ki ghamkhawari hai
ab is se tumko kya matlab…
Rukh mod gaye, sab chhod gaye
dil ko kis hadh tak tod gaye
jis par kal tha naaz mujhe
woh saari sharte tod gaye,
Ab main rukta hoon ya chalta hoon
aetbaar o yaqeen kya karta hoon
ab is se tumko kya matlab…
Tumko woh khushi de de maula
jis gham ka main unwaan banaa
woh jod de saare khawab tere
jis khawab pe main naaraz hua,
Kya main apne hunar se paa loonga
jo bikhar gaya, kya sambhal loonga?
ab is se tumko kya matlab…
Tu fikr naa kar yeh duniyaa hai
main khud hi khud ko hansa loonga,
pehle bhi bahut kuch dekha hai
isko bhi gale se lagaa loonga,
Koi saath mein ab phir aayega
ya dil tod ke phir koi jaayega,
ab is se tumko kya matlab…
