Mann udaas hai shayad
bus aur koi baat nahi,
Dil theher gaya us par
ispar mera ikhtiyaar nahi…
Chaand-taare to nahi
baaliyaa’n le aata tujhe,
Sardiyo’n ki dhoop mein
chai main pilaata tujhe…
Aur tumhari aankho’n se titliyaa’n nihaarta
haath thaam kar tera apni galtiyaa’n sudhaarta;
Par tujhe pataa nahi ki kya se kya banaa diya
door kya hua mujhse tu, maine khud ko bhi bhoola diya…
Advertisement
