Koi din woh bhi aayega, jab sab kuch tod doonga main
tumhari zid tum hi rakh lo, ki apni chhod doonga main;
Hamare darmiyaa’n kya tha, yeh tum behtar samajhte ho
mere ehsaas ka kya hai, inhe ab mod doonga main;
Tumhare dil ki yeh hasrat ki tumko lautna hoga
ki apni chaahto’n ka gala, ab ghont doonga main;
Yeh raatein kyon sulagti hain, kyon yeh din jalaate hain
ki ab sardiyo’n ki dhundh ka mausam oadh loonga main….

bahot khoob…